KYA AAP JANTE HAIN?


 
* SAWAL : Hazrat Jibreel Alaihissalam ke kitne Baazu hain?
.
>> JAWAB : Hazrat Jibreel Alaihissalam ke 600 bazu hain.
(Ibn-e Kaseer,P-7, R-5)
.
* SAWAL : Hazrat Jibreel Alaihissalam ke Ghodhe ka kya Naam hai?
.
JAWAB : Hazrat Jibreel Alaihissalam ke ghodhe ka Naam "HIZOOM" hai.
(Madrijun Nubuwwah,Jild-2Safa No-160)
.
* SAWAL : Sabse pahle kis Farishte ne Sajdah kiya?
.
JAWAB : Woh Hazrat Israfeel Alaihissalam hai ke sabse pahle Sajdah kiya.
(Al Bidaya, Jild - 1 , Safa No -46)
.
* SAWAL : Farishton ki "Masjid" ka kya Naam hai aur woh kaha hain?
.
JAWAB : Farishton ki Masjid ka Naam "Baitul Maamoor" hai,jo (7) sathve Aaman par hai... Aur (KAABA SHAREEF) ke BilMuqabil hai.... agar koi cheez Baitul Maamoor se Giarayee jaaye to woh theek KAAB SHAREEF par aakar giregi.
(Al bidaya,Jild-1, Safa No-42,Kanzul Ammal, Jild-11,Safa No-498)
.
* SAWAL : Farishton ne kitne aur kin kin Logon ko " GUSL" diaya?
.
JAWAB : 3 Hazraat ko diya.
(1) Hazrat Aadam Alaihissalam ko. (2) Hazrat Hanzala Bin Abi Amir RadiAllahu anh ko. (3) Hazrat Zakarya Alaihissalam ki Shahadat se Mutaalliq ek Riwayat hai ke Jab Kuffar ne Aap ko Cheer kar Beech se Do tukre kardiye to Allah pak ne Farishton ko Hukm diya,aur Farishton ne Gusl dekar Aap ki Namaaz-e Janza padhi.
(Nuzhatul Majalis, Safa No-113)
.
* SAWAL : Us Farishte ka kiya Naam hai ke "SHAB-E-QADR" ko AAMAL ka Nuskha jiske Hawale kiya jaata hai ?
.
JAWAB : Woh Hazrat Ismail Alaihissalam hain ke jinko Aamal ka nuskaha diya jaata hai.
(Ruhul Ma'ni,Jild -52, Safa No-113)

*SAWAL : Woh kaunsa farishta hai jo jab se paida huwa , bajuz ek bar ke na kabhi “HASA” aur na kabhi hasega?
.
JAWAB : Who Hazrat “MALIK” Alaihissalam hain.. Shab-e Meraj ko Rasul-e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekh kar pahli baar hase the… us pahle na kabhi Hase the aur na kabhi Hasenge.
(Maarijun Nubuwwah, Jild-1,Safa No-108)

Question: Kya Aap Jaante
Hai Ki Duniya Me Waqt Kitni
Bar Ruk (Stop) Gaya Hai???
.
Answer: Char (4) Time
.
1: Jab Hamare Pyare Nabi
Aaka Alehis/Salam
Sallallaho. Alayhi. Wasalam
Meraj Shareef Par Gaye The.
.
2: Jab Hazrat ALI Radiallah
Anho Ki Asar Ki Namaz Kaza
Hogai Thi Kyunki AAKA
ALEHIS/SALAM Salallaho.
Alayhi. Wasallam Apki Godh
Me Sar Rakh Kar So Gye The.
To Aap Hazrat ALI RadiAllah Anhu Rone
Lage Aur Apke Ansu
Mubarak Sarkar Ke Ruksar
Mubark Par Gire To Sarkar
Nind Se Bedar Hue Aur Suraj
Ko Wapas Aane Ko Kaha To
ALLAH Ke Hukum Se Suraj
Dubara Nikal Aaya To Jab
Waqt Ruka Tha.
.
3: Ek Jab Hazrat Sayyeda
Bibi Fatimah-Tuz-Zahar
Radiallaho Anha Ke Sar
Mubarak Se Apka Dupatta
Mubarak Sarak Gaya Tha Aur
Aap Ke Sar Ke Do (2) Baal
Nazar Agaye The To Ek Us
Waqt Waqt Ruka Tha.
.
4: Ek Jab Hazrat Bilal
Radiallaho Anho Ne Azaan-
E-Seher Nahi Di Thi To Us
Waqt Waqt Ruk Gaya
Tha.

 

SAWAL : Huzoor Akram (Sallallahu alahi wasallam) ki Namaz-e Janaza kis tarah padhi gayee?
.
JAWAB : Huzoor Akram (Sallallahu alahi wasallam) ki Namaz-e Janaza Ada karna “Baa Jama’at” ke Saath naa tha… balke Jama’at aap (sallallahu alaihi wasalam) ke Qareeb aati aur bagair Jama’at ke Namaz padhti aur nikal jaati… fir doosri Jama’at aati thi aur padhti thi… Aap ka Jasd-e Aqdas usi “Hujra Mubarak” me me tha jaha aap ko Gusl diya gaya tha… sab se pahle “Mard” dakhil huwe,jab Mard Namaz se Farig hogaye to “Aurte” dakhil huyeen aur Aurto’n ke Ba’ad Bachche aaye istarah se Huzoor Akaram (sallallahu alaihi wasallam) ki Namaz-e Janaza padhi gayee.
Hazrat Ali (RadiAllahu anh) se Manqool hai ke Rasoolallah (sallallahu alaihi wasallam) ke Janaza Shareef” par kisi ne Imamat nahi ki ,isliye ke Huzoor Ayyam,Hayat-o Mumat, me Hamare “IMAM” hain… balke logo ne tanha tanha Namazen padhi
{Madarij-Un-Nubuwwah-Jild-02-Safa No-747}


SAWAL : Huzoor Akaram (Sallallahu alaihi wasallam) ki Namaz-e Janaza sabse pahle kin logo ne padhi?
.
JAWAB : Ek Riwayat me hai ke sabse pahle jinhone Janaza shareef ki Namaz padhi wo Ahle Bait Nubuwwat the,Hazrat Ali,Hazrat Abbas,aur Hazrat Banu Hashim (RadiAllahu anhum) uske Baad “Muhajreen” unke baad “Ansar” aaye… fir aur log aaye,yaha tak ke Jama’at ki Jama’at huzra-e Aqdas me Dakhil hoti aur Namaz ada karti jaati thi.
Ye Tarteeb to Sahaba Ikram ki Namaz ki thi… lekin Jab Huzoor Akram (Sallallahu alaihi wasallam) ki Zahiri Zindagi me logo ne poochha tha? Ya Rasulallah! Aap par sabse pale kaun Namaz padhe?? Aap (Sallallahu alaihi wasallam) ne Faramaya tha : sabse pahle jo meri Namaz Janaza padhega wo mere dost Hazrat Jibreel honge,fir Hazrat Mikail honge,fir Israfeel honge,fir Malkal Maut, Giroh Farishto ke saath honge.
{Madrij-Un-Nubuwwah-Jild-02-Safa No-748}
.
*SAWAL : Zameen ka woh kaunsa hissa hai jo sabse ziyada Buland aur Aasman se ziyada Qareeb hai?
.
JAWAB : Woh"BAITUL MUQADDAS"hai, ye Zameen ka woh hissa hai jo sabse buland aur Aasman se sabse Qareeb hai... Iski Unchayee 18 meel hai.
.
(Hashiya 5 Jalain Safa No 201,Ruhul Bayan Safa No 396)

SAWAL : Iblees” ki paidaish kistarah se hui?
.
JAWAB : Allah” pak ne (Alame Sijjeen) me “Bhedhya” aur “Saanp” ki Shakal me 2 Surat Paida Farmayee… woh dono aapas mile,aur Allah pak ne unse Iblees”ko paida Farmaya.
NOTE : Alam-e SIjjeen” usko kahte hai jaha Tamam Kafiron ki Roohen Qaid hoti hain,aur ye Zameen ke Neeche hai.
{Ma’arij-Un-Nubuwwa-Jild-01-Safa No-15}

SAWAL : Iblees” ke “BAAP” aur “MAA” ka Naam kya tha?
.
JAWAB : Iblees ke “Baap ka naam “Khablees” tha… jiski Shakal “Sher” ya “Saanp” ki jaisi thi… aur MAA ka Naam “Nablees” tha,jiski Shakal “Bhedye ki Jaisi thi.
{Ma’arij-Un-Nubuwwa-Jild-01-Safa No-15}

SAWAL : Iblees” jab Jannat” me tha us waqt uska kya naam tha?

JAWAB : Hazrat Inb Abbas (RadiAllahu anh) ne Farmaya: uska pahla Naam “AZAZEEL” tha… 
{Al Ittiqan Fee Uloomul Quran-Jild -02 Safa No 181}

SAWAL : Iblees” ka Naam Iblees kyun huwa?
.
JAWAB : Allah paak ki khullam khulla Naa Farmani,aur Hazrat Aadaam (Alaihissalam) se Bugz ki wajah se… woh “KHUDA-E KAREEM” ki har Nemat se Mayoos kardiya gaya… ya woh NEKI aur BADI ko Band Gaan Khuda ke liye Khalat Malat kardeta hai,isliye Iblees Naam se Mash hoor hogay.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa No-310}

SAWAL : Iblees” kitne Saal tak Jannat ka Khazanchi raha?

JAWAB: Hazrat Ka’ab Ahbar (RadiAllahu anh) ne Farmaya : Iblees” (40,000) Saal tak “Jannat” ka Khazanchi raha.
{Savi-Jild-01-Safa No-22}

SAWAL : Iblees” ne Arsh A’azam ka Tawaf kitne Saalo,N tak kiya?
.
JAWAB :Iblees ne Arsh A’azam” ka Tawaf (14,000) Saal tak kiya.
{Savi-Jild-01-Safa No-50}
.
SAWAL : Iblees” kitne Saalo’n tak Farishto ka Sardar raha?
.
JAWAB : Iblees” (80,000) Saalo,n tak Farishto ke Sath raha.. jisme se (20,000) Saal tak Farishto ko Wa’az-o- Naseehat karta raha… (30,000) Saal tak Malaika Karobeen” ka Sardar raha… aur (1000) Saal tak Malaika” Roohaneen ka Sardar raha.
{Jamal-Jild-01-Safa No-50}

SAWAL : Iblees” kis “Aasman” me kis Naam se pukara jaata tha?
.
JAWAB : Hazarat Ka’ab Ahbar (RadiAllahu anh) se Marwi hai ke “Iblees” ko (1) pahle Aasman” par “AABID” ke Naam se Pukara jata tha… (2) doosre Asman par “Zahid” pukara jaata tha… (3) Teesre Aasman par “ARIF” (4) Chauthe Aasman par “WALI” (5) Panve Aasman par “TAQI” (6) Chhate Aasman par “KHAZIN” (7) Satve Aasman par “AZAZEEL” ke Naam se pukara jata tha.
{Jamal-Jild-01-Safa No-50}

SAWAL : Iblees” par Sabse pahle Laanat kisne ki?

JAWAB : Iblees” par Sabse pahle La’nat,Hazrat Jibreel (alaihissalam) ne ki… fir Hazrat Mikail (Alaihissalam) ne… fir Hazarat Israfeel (Alaihissalam) ne… fir Hazrat Izrail (Aalaihissalam) ki thi
{Ma’arij-Un-Nubuwwah-Jild-01-Safa No-39}



SAWAL : Sabse Pahle “Sub’hana Rabbiyal A’ala” kisne kaha?
.
JAWAB : Wo Hazrat Israfeel (Alaihissalam) hai ke Jinho ne Sabse Paihle SUB’HANA RABBIYAL A’ALA kaha.
{Muhaziratu Awail}

SAWAL:woh kaunsa Janwar hai jo Aatish-e Namroodi ki phoonk maar maar kar bhadhkane ki koshish karraha tha?
.
JAWAB: Hazrat Qatada farmate hain ke jisdin Hazrat IBRAHIM alaihissalam ko Aatish-e Namroodi me dala gaya us din jobhi Janwar nikla woh AAG ko bujhane ki koshish karraha tha siwa GIRGIT ke… jo phoonk maar maar kar Aag bhadhkane ki koshish karraha tha,uski us Dushmani ki wajah se NABI-E KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne use maar dene ka hukm farmaya.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

HTC Vive review | Daily Post

10 Things That Sum Up The Differences Between Tourists And Travellers

33 Online Stores With Free Shipping And No Minimum